KABUTAR
Kabutar
Subh k 3:30 bj rahe h
Wese to mjhe roz ki tarah abhi tak so jana chaiye tha par aaj koi aisi baat zaroor hai jo mjhe chah kr bhi sone nhi de rahi hai.
Kaafi der se koshish krne par bhi neend meri aankhon se abhi kaafi door lag rhi h.Ek halki si jhapki lagi hi thi ki us ek pal mein mere bachpan kuch yaadein taaza ho gyi.
Hua yun ki kareeb 11 mahine pehle mene apni job chori thi jo mere jaise bohot se engineers k liye shayad ek sapna h aur reh rehkar mere dimaag mein ye baat bohot baar aa chuki thi ki kya mera ye faisla sahi tha ya galat.Kya mujhe pehle kahin dusri jagah naukri dhoondni chaiye thi ya abhi aur intezaar karna chaiye tha,thodi savings karni chaiye thi jaisa ki sab log karte h..!Aur sach batau to mujhe to abhi ye tak nhi pata tha ki kya mjhe dobara aisi naukri milegi bhi ya nhi ya kya main naukri hi karna chahta hun ya apna passion follow karna chahta hun.Ab to ye samay hi tay karne wala tha…ki aage meri kismat mein kya likha tha…
Aise kai sawaal the jo mere man mein roz uthte aur pareshan karte.Jab bhi akela hota to bas us pal k bare mein sochta jab main apna isteefa dene gaya tha.Main har baar HR k office mein khud ko khada hua dekhta aur sochta ki isteefa du ya nhi?
Mere liye aur shayad mere jaise bohot se logo k liye k ye sare sawaal bohot hi common h.. h na??
Hum karna to bht kuch chahte h par kisi na kisi wajah se bas un situations se compromise kar lete h aur khud ko khush rakhna sikha dete h…
Maine bhi inhi sawaloon k beech mene apne kadam aage badha to liye the par mjhe ab zindagi kya dikhane wali h ye hi shayad wo asli sawaal tha jo mjhe aaj kuch zyada hi pareshan kar raha tha ki itne mein mujhe mere mama ji ki ek baat yaad aa gyi aur shayad wo ek yaad kaafi thi jo aaj to kam se kam mujhe chain ki neend sone dene wali thi…
Ek kahani h jo meri yaad se aur mere dil se judi hui h aur jisko yaad karke mere dil se un sawaalon ka kaafi bhoj halka ho gaya tha jinse main joojh raha tha.
Ye ek kabutar ki kahaani h jo mast gutargoo gutargoo krta firta tha ….kabhi is chatt par fir yahan se udaaa to kisi aur chatt par gutar-goo … gutar-gooo…..
apne bhi bohot baar dekha hoga kabutaron ko aise ??
Par ek din kisi ne us kabutar ko pakad kar ek aadmi ko diya, jisko alag alag tarah ki chidiya rakhne ka bada shauk tha ….uske paas kaafi sari mehengi aur sasti sab tarah ki chidiya thi .Sabke liye alag alag tarah k bandobast .
Sabke daana paani ka dhyan rakhne k liye samay pr intezaam.
Wo unko samay se daana daalta…unke saath baatein krta…unke saath alag alag awaazein nikaalta…gaata…gungunaata… unka khyaal rakhta aur unko kabhi kabhi bahar ghumane bhi leke jata aur wapas laake saare khidki darwaaze band karke unke kamre mein khula chor deta .Mazedaar bast ye thi ki us kamre mein ek roshandaan tha jo hamesha khula rehta tha jisse ki kamre mein hawa aur roshni aati jaati rahe…lekin kabhi koi chidiya uss kamre se bahar nhi nikalti.Sab andar hi ek khidki se dusri khidki …khidki se darwaze par udte rehte aur mast rehte.
Kabutar bhi khush tha ,time se dana pani ka arrangement, baat kanre k liye dusri chidiya,rehne k liye jagah sab sahi tha.Par kabhi kabhi uska man krta tha ki agar mauka mile to pehle k jaise khule aasmaan mein idhar udhar udta firu,kabhi is chat par kabhi us chat par.Bas ye soch kr ruk jata tha ki waise to ghoom ghoom k dana chugna padta tha….aur kabhi yahan kabhi wahan ghosla dhoondna padta tha….aur fir kabhi pakde jaane ka darr lagta rehta tha…yahan rehne aur chugne k liye sab intezaam the aur na kisi cheez ka darr…isse zyada aur kya chaiye..!!
Samay beeta lekin kabutar hamesha sochta rehta ki us roshandaan se bahar nikal k ud jaau. Wo roshandaan k upar ghantoo baitha rehta, bahar dekhta rehta lekin kabhi bahar nikalne ki himmat nhi kar paya.
Dheere dheere kabutar ne bhi apna man usi kamre mein lagana shuru kar diya aur khush rehne ki koshish krta raha…lekin wo jitna khush rehne ki koshish krta wo utna hi dukhi rehne laga…
Ek din wo usi roshandaan par baith kr soch hi raha tha ki tabhi bahar khel rahe bachhon ki ball se kamre ki ek khidki ka kaanch poori tarah se toot k bikhar gaya….ye dekhte hi kabutar ne aaw dekha na taav aur khidki se bahar ud chala.
Jaise hi uske maalik ne kabootar ko khidki k bahar udke jaate hue dekha usne khidki par jaali laga di ki kahin uski bachi hui chidiya na ud jaae…
Ye dekh k kabutar pehle to bahar ek ped pr baith kr thodi der kamre ki taraf dekhta raha aur fir dheere se apne pankh faila k fir se ud diya….fir se gutargoo gutargoo kabhi is chatt pr kabhi us chatt pr….
Sochne wali baat ye thi aisa kya tha jo kabutar ko chah kar bhi us kamre mein kaid karke rakhe hue tha …
Kya wo uski soch thi ki wo kabhi kamre se bahar nikal hi nhi paega.
Ya uska darr tha ki ek baar agar wo yahan se chala gaya to wo aadmi usko dubara aane nhi dega.
Ya uska lalach ki jo bhi usko jeene k liye chaiye tha wo sab usko aasani se bina mehnat k mil raha tha.
Ye to wahi behtar bata sakta h.
Jo baat sochne wali h wo ye ki mauka to kabutar k paas hamesha se tha to fir usi din aisa usne kyun kiya.Kabutar ko bahar ab aisa kya dikh gaya tha ki us din wo kamre se bina soche bas nikal gaya ..??
Ye sawaal maine jab khud se baar baar kiya to bas itna yaad aaya ki jab main chota tha tb mamaji bhi mjhe kabutar bulate the ….ab q bulate the ye to pata nhi …par unko bhi shayad mjhme ek kabutar hi dikhta tha….aur ye soch kar mere chehre pr ek pyari si muskaan aa gyi aur shayad kahin na kahin mjhe ye samjh aaya ki agar main aage ki sochte rehta to shayad kabhi main bhi us kabutar ki tarah us kamre se kabhi bahar nhi nikal pata.
Mene wo kiya jo us pal mein mjhe sabse sahi laga.
Ab shayad poora aasmaan kabutar ka ghosla h aur wo kahawat to aapne bhi suni hogi …
“Jisne pet diya h wo roti bhi dega” …us kabutar ko uske hisse ka daana bhi kahin na kahin se to mil hi jaega..!!
kehne ka matlab ye ki agar itni himmat aa hi gyi to zindagi mein kuch na kuch kar hi lenge warna shayad hamesha kabutar ki tarah khud ko khush rehne ka jhoot bolte rehte.
2 line keh kr is kahaani ko khatam krta hun…ki
Tu aaj mare ye soch kr ki tu kal kya karega…
Tu khule roshandaano par hi baith.. in pankhon ka kya karega…
Warning: Trying to access array offset on value of type null in /home4/shariirc/public_html/wp-content/themes/colormag/single-entry.php on line 75
Warning: Attempt to read property "ID" on null in /home4/shariirc/public_html/wp-content/themes/colormag/single-entry.php on line 75
" data-likedPost = "5469" data-exists="no"> 3